Hai koi pass e parda ? mar jayain to kya ho ga ?
Kya sach hai khuda jaane ، suntay hain khuda ho ga
Puhncha hai hum tak phr ، qissa gham e ulfat ka
Ham ko jo sunate ho ، ham se he suna ho ga
Kuch aar ni is mein ، halat he hamari thi
Kehtay the subhi “pagal “، tum ne bhi kaha ho ga
Bay hosh paray hain kion ، jannat k makeein har su
Dekha na kabhi jis ko ، dekha na gya ho ga
Ummeed k saye mein ، hoty hain sitam lakhoon
So baar jo dil ujjara ، so baar basa ho ga
Bas chaein ki maut aye ، kuch bhaar na ho dil par
Har ek se bhalayi kar ، apna he bhula ho ga
(Poet: Ibn e Muneeb )
(Visited 3 times, 1 visits today)