web analytics

Iran aur Saudi Arab k darmiyan khamosh mozakraat jari ،hairat angaiz pesh raft.

Newyork (N N I) Mashriq e wasta ko jang k dahane tak pohnchanay wali barson se jari brhati dushmani aur asar o rasookh mein izafay k Muqably k bad ab Iran aur Saudi Arab ne kashidgi k khaatmay k liye bilwasta toor par khamosh mozakraat ka aghaz kar dia hai .

Amreeki akhbar ki report k mutabik mozakraat agrcha bilwasta hain lekin us k bawjod usse shandaar paish rafat kaha ja sakta hai qk chand hafton qabl he ilzamaat aur sakht beyanaat ki shadeed jang jari thi aur Saudi Arab ki tail ki tansibaat par hamla hawa jis k bad surat e haal tezi se Bigarti nazar I .

report k mutabik 14 September k hamlay k bad Amreeki Sadar Donald Trump ki janib se Iran k khilaaf karwai se inkar k bad he Saudi Arab ne masla hal krny k liye apni koshisho shuroo kar di theen .

Amreeki akhbar k mutabik Iran ne hmesha se he Saudi Arab ko America aur Israil se dor rakny ki koshish ki hai lekin Saudi tail tansibaat par hamlon k bad Trump ki janib se Iran k khilaaf fauji karwai se inkar ki waja se lagta hai ke Iran Saudi mozakraat k liye umed ki kiran paida hoi hai.

(Visited 23 times, 1 visits today)

Leave a Comment