Irani Wazeer e Kharja Jawwad Zareef ne Mashriq e Wasta mein aman aur Iran Saudi Arab kashidgi dor karany keliye koshisho krny par Wazeer e Azam Imran Khan ka suhkria adaa kya hai .
tafsilaat k mutabik samaji rabtay ki web site twitter par apney aik paigham mein Irani Wazeer e Kharja ne kaha ke Khaliej Faras mein qayam aman keliye koshisho krny par Iran Wazeer e Azam Imran Khan ka shukr guzaar hai aur in se izhar tashukar karta hai .
Jawwad Zareef ne apney tweet mein mazed kaha ke Iran khitaiy k deigar mamalak ko dawat deta hai ke Hormuz mein qayam aman k iqdamaat mein shamil ho jayain
(Visited 3 times, 1 visits today)