Islamabad :Pakistan ne Bhaarti army chief ka Balakot mein dehshat gardi k camp dubara faal krny k ilzaam ko sakhti se mustarid krdia
tarjman daftar e kharja ki janib se jari bayan k mutabik Balakot mein dehshat gardi k camp dubara faal krny ka ilzaam bay Bunyaad hai ،dar andazi k ilzamaat Maqbooza Kashmir mein mazalim se bain alqawami tawajja hatany ki koshish hai ،Bharat in hathkandon k zariye alimi baradari ko gumrah krny mein kamyab ni hoga jub ke Bharat ilzamaat se Maqbooza Kashmir mein riasati dehshat gardi ko chupa ni sake ga .
tarjman daftar e kharja k mutabik Bharat Aqwaam e Muttahida ki intezamiya k kaam mein sakhti se rukawatain dalta hai ،Bharat ki mutshadud beyanaat aur iqdamaat alaqai aman o istahkaam k leye khatra hain ،bain alqawami baradari Hindustan par zor de ke wo zima bari se kaam kare .