London (News desk) Aik nayi report mein hukomat par ilzaam aaid kya gya hai ke English k test mein naqal par Home Office ne usse one-dish scandal k mosavi qaraar daitey huwey talba k khilaaf ilzamaat ki tasdeeq kiye bagair ghair mulki talba k veezay mansookh karna shuroo kar diye hain .
Public Accounts Company ka kahna hai ke department ne system ki nakami par jo rad e ammal zahir kya hai us mein naaqes hain ،aur shwahid ki tasdeeq k bagair veezay mansookh kiye jaane se hazaro gair mulki talba k sath na insafi hogi
Aur in ko mushkilaat ka samna karna paray ga Company ne kaha ky ye tasleem kiye jaane k bawjod ke senkarro talba bay qasoor hain aisa karna qatae naqaabil qabool hai Home Office one-dish scandal ki tarah apni ghalti ko durust krny kay liye kuch ni kar raha ،Home Office ne aik dafa phr mutasir hone wale bay qasoor talba ki nishandahi ki leye kuch ni kya
2014 mein jub Theresa May Wazeer dakhla theen bi bi si ne English zubaan k test k 2 marakez mein munazzam andaz mein naqal ki foteg nashar ki theen ye senator nan profit tanzeem di Educational Testing service ki janib se through parties chala rahi thi .
Daily mirror ne ye khabar daitey huwey btaya ke test mein doka dahi aur apni jagah ksi aur ko bithanay jaane ka pata chlanay keliye Bregxit voice technology k istamaal k bad aik maa ko jo guzashta 2saal ki umer se Bartania mein muqeem hai Bartania mein musteqil qayam ki ijaazat dene se inkar kar dia gya ،pata chala rhay ke 2011 se 2014 k doran leye gay 97 fissad test mushtaba qaraar diy gay hain jabkay 58 hazar 459 test mein se 58 fissad ko galt aur ghair qanooni qaraar de dia gya hai .