web analytics

Europi parliament mein 12 baras bad masla Kashmir zir e behas

Strasbourg Europi parliament mein Kashmir ki surat e haal par ijlas munaqid hawa jis mein barah saal bad masla Kashmir par behas ki gai.

Europi Union k Genovia mein hone wale ijlas mein insani haquq council ki qarardad ka jaiza liya gya aur kaha gya ke Maqbooza Kashmir mein surat e haal intihai nazuk hai .

Wazeer e Europi Union Toperainun ne kaha ke Maqbooza Kashmir mein insani almia paida ho chuka hai ،janubi Asia mein alaqai taawaun ajj sub se ziyada ahaam hai ،Kashmir k msly ka hal Kashmiri awam ki khwahishat k mutabik chahtay hain.

Wazeer Europi Union Wella Carmeno ne kaha ke Europi Union ki taraf se masla Kashmir par guftagu ahaam hai .

Europi Wazeer Moses Hannah ne kaha ke 5August ko Bharat ne Maqbooza vadi ki hasiat tabdeel krny ki koshish ki ،Bharat k us iqdaam ne vadi ki surat e haal intihai kharab kardi ،Maqbooza vadi mein muwaslati nizaam mosalsal munqata hai.

Europi Wazeer Moses Dauden ne kaha ke Maqbooza Kashmir mein insani haquq ki khilaaf wazeeron ki reports arahi hain ،Maqbooza vadi mein muwaslati rabtay aur mobile service munqata hai .

Bharat se kahsmirio ko in ka bunyadi haq azadi dene ka mtalba krty hain ،Maqbooza Kashmir mein 70saal se tanazea jari hai ،haq khudar adiat Kashmiri awam ka haq hai ،hmari zima bari hai ke Maqbooza Kashmir ki surat e haal mein behtari k liye kirdaar adaa karen.

(Visited 15 times, 1 visits today)

Leave a Comment