Islamabaad (on line ) August 2019 k ekhtaytam par mulk mein broad hand saarifin ki majmoi tadaad 7 3million tak barh gai .
Pakistan Tele Communication Authority (P T A) k adaad o shumaar k mutabik mulk mein broad hand saarifin mein se 97 fissad saarifin mobile broadband se mustafid ho rahe hain jin mein 3G aur 4G sarif shamil hain us tarah August 2019 k ekhtaytam par mobile broad saarifin ki tadad 73 million tak pohanch gai .
Information Technology k shuba k mahireen ne kaha hai ke internet saarifin ki tadaad mein izaafa hawa hai aur shuba se istafada k zariye Qoumi maeeshat ki taraqi mein madad hasil ki ja sakti hai .
unhon ne kaha ke dunia bhar mein parhy likhey aur nojawan afraad internet ki madad se ghar baithey bithanay mahana pur kashish amdan hasil kar rahe hain .
unhon ne kaha ke shuba mein free lancing k farogh k hawale se agahi faraham krny ki zaroorat hai jis se broad hand se haqiqi istafada k zariye bay rozgaari ki sharah ko kum krny mein madad hasil ki ja sake ge.