London :neki kabhi zaya ni jati aur aisa he aik waqiya Bartanwi plumber k sath bhi hawa jis ne 91 sala boorhi khatoon k ghar mein plumbing ka kaam bila muawaza krdia jisay puri dunia mein saraha gya hai .
Jamaes Anderson ne cancer ki shikar aik boorhi khatoon ka boiler theek krdia aur in se koi muawaza bhi ni liya .us khatoon ki Umer 91 baras thi .jub ye khabar social media par mashoor hoi to maloom hawa ke Anderson aik choti C tanzeem bhi chala rahe hain jo boorhay ،bay sahara aur mazoor afraad ki madad karti hai .
us khabar se mutasir hoker logo ne inhain 99 hazar dollar ki raqam atia ki hai takeh wo khush asloobi se falah o bahbood ka kaam kar sakain.
in k tamam saarifin James Anderson ko ’plumber k lebaas mein farishta ‘kehtay hain .issi bana par logo ne 99 hazar dollar ki raqam atia kardi hai aur ab us k badl Anderson ne pore mulk mein muft saholiyat faraham krny ka ilaan kya hai .
2017 mein Jmaes Anderson ne shadeed noksan k bad apna zati karobar band krdia tha aur ’’DEPHER‘‘ naami aik ghair nafa baksh company banai jo zaroorat mandon ki madad kar rahi hai .us k bad se wo Linkashaer mein 2000 aisay afraad ko intihai baar aiyat plumbing service faraham kar chukay hain jo ksi bhi waja se us ka kharch bardasht ni kar saktay .lekin us k liye crowd funding aur logo k atiaat ki zaroorat hoti hai .
lekin logo k kum atiaat mily aur wo ab tak 10 hazar dollar k maqrooz ho chukay hain .lekin 91 sala khatoon ki madad k bad in ki neki ki khabar har so phali aur logo ne dil khol kar in ki maali madad ki hai .ab tak in ki tanzeem k liye aik lakh dollar ki raqam mosool ho chuki hai .
Mein chahta hon ko Bartania ki sardi mein koi boorha ،la waris aur mazoor garm ghar aur pani se mehroom na rahe .mein ne pore mulk mein aisay plumberon se madad ki darkhast ki hai aur in se hosla afzah jawab mila hai ،‘Jmaes ne btaya .
wazeh rahe ke Bartania mein ghar ko garm rakny wale boiler ki murammat par khasi raqam kharch hoti hai aur kum aamadni ،tanha afraad ،boorhay aur mazoor log us raqam ko adaa krny se qasir rehte hain.