web analytics

Supreme Court faislay k bad Malika Bartania ko America se Boris Johnson ka fon.

London (News desk ) Bartanwi Wazir e Azam Boris Johnson ne parliament ki muatali ko gair qanuni qaraar dene k Supreme Court k faislay k bad Malika Bartania se Newyork se fon par baat ki .Bartanwi akhbar mirror ki report k mutabik us ki tasdeeq ho gai hai .

Bartanwi hukomat k aik senior uhday daar ne kaha ke Wazir e Azam Boris Johnson ne Malika se fon par baat ki .wo us fon call k drust waqt k hawale se koi tabsara ni kar sakte aur na he wo ye sakte hain ke unhon ne Malika se mazrat ki .

uhdaydar ne kaha ke ham ksi bhi tarah Malika aur Wazir e Azam k ma been guftagu ko ksi bhi sorat mein zir behas ni latay .ye call Supreme Court k faislay k bad ki gai thi .Wazir e Azam Johnson ne kaha tha ke wo Supreme Court k faislay ka ehtram karen gey .

Adalti faislay k bad Boris Johnson se opposition jamaton k rahnamaon ne mustafi hone ka mtalba bhi kya hai .Johnson America mein Aqwaam e Muttahida k ijlas mein shareek hain .in ka kahna hai ke mein in mutalbaat se itfaq ni karta aur na he mein apney iqdaam par koi mazrat krun ga .

uhday daron ne khud ko BBC  ki us khabar se bhi faaslay par rakha ،jis ko 10 Downing Street k zarraiye se mansoob krty huwey kaha gya ke Supreme Court galt hai aur us ne siasi muamlat mein mudakhlat kar k sangeen ghalti ki hai .

Aik uhdaydar ne kaha ke Wazir e Azam ne wazeh toor par kaha hai ke wo adalia ki azadi par kamil yaqin rakhte hain aur mere khayal mein aap ko in k in alfaz par yaqin karna chahy .uhdaydar ne us ki bhi tasdeeq ki ke Wazir e Azam Attorney General Geoffrey Cox aur senior Masheer e Dominic Cummings dono par mukmal aitmaadi rakhte hain.

(Visited 79 times, 1 visits today)

Leave a Comment